Tere deedar ka taalib lage aas baitha hoon
Khudaara ab dikha de ruye-e-taabaan ya RasoolAllah
Mara seena Madina ho Madina mera seena ho
Rahe seene mein tera dard-e-pinhaan ya RasoolAllah
Sunheri jaaliyan hon aap hon aur mujh sa aasi ho
Wahin ye jaan juda ho jaan-e-jaanan ya RasoolAllah
Mujhe har yaale gumbad ke talay qadmon mein maut aaye
Salaamat le ke jaaun deen-o-imaan ya RasoolAllah
Nahi husn-e-amal koi mere aamal naame mein
Teri rehmat meri bakhshish ka saamaan ya RasoolAllah
Padosi khuld mein badkaar ko apna bana leeje
Jahan hain itne ehsaan aur ehsaan ya RasoolAllah
Madine mein shaha Attar ko dogaz zameen de de
Wahin ho dafan ye tera sana-khwan ya RasoolAllah