Teri aamad hai maut aayi hai
Jaan-e-Isa teri duhayi hai
Kyun watan apna chhor aayi hai
Kyun safar ki bala uthayi hai
Saikron aafton mein phansne ko
Kyun badan mein ye jaan aayi hai
Un ke jalwe hain meri aankhon mein
Achhi sa'at se maut aayi hai
Tum ko dekha to dam mein dam aaya
Aap aaye ke jaan aayi hai
Mar raha tha tum aaye jee utha
Maut kya aayi jaan aayi hai
Ab toh aao ke dam labon par hai
Chehre par murdani bhi chhayi hai
Aaye waqt hai yeh aane ka
Dekh lein sab ki jaan phir aayi hai
Zindagi maine payi mar mar ke
Main ne jee jee ke maut payi hai
Zindagi kya thi jis mein maut aayi
Zindagi baad-e-marg payi hai
Maut ka ab nahin zara ghitka
Zindagi shubh ghari se payi hai
Marte hi zindagi mili mujh ko
Maut ke saath jaan aayi hai
Hasrat-e-deed-e-yaar mein hum ne
Aaj mar mar ke maut payi hai
Jo haseen dekha mar mita us par
Main ne mar ke hayat payi hai
Chain ki neend aaj soya hoon
Maut aaram ki silayi hai
Shamaton ne tumhari ghera hai
Maut tum ko yahan pe layi hai
Zibh kar dala to ne o zalim
Nafs toh tu zara qasayi hai
Taat-e-Haq ka naam sunte hi
Tujh ko kam-bakht maut aayi hai
Maasiyat zehar hai magar oundhe
Tu ne samjha use mithayi hai
Kya bigara tha tera kyun bigra
Zehar ki pyali kyun pilayi hai
Achhe jo kaam karne hain karlo
Jaan apni nahin parayi hai
Noori hargiz nahin hai tu nari
Maut-e-Islam to ne payi hai
Wah kya baat aap ki Noori
Kya hi achhi ghazal sunayi hai