Thandi thandi hawa haram ki hai barish Allah ke karam ki hai
Amina ke makan pe roz-o-shab barish Allah ke karam ki hai
Jo haram ka adab karein un par barish Allah ke karam ki hai
Noori chadar tani hai kaabe par barish Allah ke karam ki hai
Multazam aur beere zam zam par barish Allah ke karam ki hai
Baab o meezab o hajar-e-aswad par barish Allah ke karam ki hai
Mustajar aur rukn-e-shami par barish Allah ke karam ki hai
Kaisa rukn-e-iraqi hai nikra barish Allah ke karam ki hai
Mustajab o hateem par be-shak barish Allah ke karam ki hai
Rehmatein hain mataf par bhi aur barish Allah ke karam ki hai
Pak ghar ke tawaf walon par barish Allah ke karam ki hai
Makka-e-pak par madine par barish Allah ke karam ki hai
Sabz gumbad pe rehmatein hain aur barish Allah ke karam ki hai
Kaaba-e-pak par manaron par barish Allah ke karam ki hai
Un ke mehrab aur mimbar par barish Allah ke karam ki hai
Ya Ilahi! Gham-e-Madina de iltija Mustafa ke gham ki hai
Qalb-e-muztar ki laaj rakh Maula ye sada meri chashm-e-nam ki hai
Jo nazar aa rahi hai har janib sab bahar un ke dam-e-qadam ki hai
Mere Maula gham-e-Madina hi aabru meri chashm-e-nam ki hai
Sozish-e-seena o jigar de de aarzoo mujh ko chashm-e-nam ki hai
Khoon rulaye sada teri ulfat aarzoo aisi chashm-e-nam ki hai
Aafaton se bachale Ya Allah mujh pe yalghar ranj o gham ki hai
Bigri taqdeer abhi sanwar jaye der ek jumbish-e-qalam ki hai
Qaflon mein safar karo yaro! baqiyat-e-rah ye aram ki hai
Saare apnao madani inamaat gar tumhein aarzoo aram ki hai
Laiq-e-naar hain mere aamal iltija Ya Khuda karam ki hai
Apni ummat ki maghfirat ho jaye aarzoo shafi-e-ummam ki hai
Bakhsh de ab to mujh ko Ya Allah ye dua tujh se chashm-e-nam ki hai
De de qufl-e-Madina Ya Allah ho karam iltija karam ki hai
Kaash! Har saal hajj kare Attar
Arz badkar par karam ki hai