Thandi thandi hawa Madine ki
Mehki mehki faza Madine ki
Arzu hai khuda Madine ki
Mujh ko galiyan dikha Madine ki
Din hai kaisa munawwar-o-roshan
Raat raunaq faza Madine ki
Chhaon to har jagah ki thandi par
Dhoop bhi wah wah Madine ki
Kaif-awar hai mausam-e-sarma
Garmiyan marhaba Madine ki
Phool to phool khar bhi dilkash
Patian dilruba Madine ki
Hai chaman to haseen kanton ki
Jhariyan khushnuma Madine ki
Hai paharon pe noor ki chadar
Wadiyan marhaba Madine ki
Sabz gumbad ka husn kya kehna
Jaliyan dilkusha Madine ki
Kaif-o-masti bhara saman hai wan
Kaif-awar faza Madine ki
Har ghari rehmaten barasti hain
Hai mubarak hawa Madine ki
Zarra zarra wahan ka noorani
Hai munawwar faza Madine ki
Zulmat-e-shab daraye gi kyonkar!
Har taraf hai ziya Madine ki
Gamzada aankh khol ke dekho
Chha gayi hai ghata Madine ki
Kyon ho mayus aye mareez-e-umam
Le lo khaak-e-shifa Madine ki
Jholiyan bhar ke tu bhi layega
Raah le aye gada Madine ki
Mere murjhaye dil ko jhonka de
Aa ke baad-e-saba Madine ki