Tumhara karam Ya Habib-e-Khuda hai, madine ki janib chala qafila hai
Main rah-e-madina ke qurban jaon, keh is mein suroor aur maza hi maza hai
Madine mein "qufl-e-madina" lagaon, karam aap kijiye irada mera hai
Ibadat se khali hai aamal-nama, siwa ansuon ke mere paas kya hai
Na kyun tum pe itraye mujrim tumhara, yahan to adu bhi amaan pa raha hai
Nahi jaanta ye madine ke aadaab, ye tera bhala ya bura hai
Mujhe dijiye ashkbaar aankh Aaqa, ye dil sakht, patthar se bhi ho gaya hai
Pila de chalakta hua jaam-e-ulfat, nazar teri janib lagi saqiya hai
Madad ke liye nakhuda aayiye ab, safina hamara bhanwar mein phansa hai
Shah-e-qafila ke sabhi zairon ne, mere saath ahd-e-wafa kar liya hai
Tumhein laaj ahd-e-wafa ki rakho ge, keh Iblees-e-mardood peechay laga hai
Shafa'at ki khairat lene ko Attar, liye qafila anqareeb araha hai
Mustafa ne hamare aibon par, parda daman ka daal rakha hai
Shukr yeh tum ne aal ka sadqa, meri jholi mein daal rakha hai
"Chal Madina" ki bheek mil jaye, ashiqon ne sawaal rakha hai
Dedo zaad-e-safar Madine ka, sailon ne sawaal rakha hai
Dekho diwano! sabz gumbad mein, kaisa husn-o-jamaal rakha hai
Kyun jahannam mein jaun seene mein, ishq-e-ashab-o-aal rakha hai
Main kabhi ka bhatak gaya hota, aap hi ne sambhaal rakha hai
Aashiq-e-maal is mein soch aakhir, kya urooj-o-kamaal rakha hai
Tujh ko mil jaye ga jo qismat mein, teri rizq-e-halal rakha hai
Is jahan ke kamaal mein beshak, ik na ik din zawaal rakha hai
Tujh se Aaqa tere sawali ne, maghfirat ka sawaal rakha hai
Sun lo shetan ne har su shahwat ka, khoob phaila ke jaal rakha hai
Jeeti hai woh jis ne sunnat ke, khud ko sanche mein dhaal rakha hai