Tumhare muqaddar pe rashk aa raha hai, Madine ka tum ko bulawa mila hai
Khuda aur Nabi ka karam ho gaya hai, safar suye Taiba meri aal ka hai
Sabhi bachiyon ke behmrah maa baap, chala hajj ko nanha sa ye qafila hai
Khudaye Muhammad ho hami-o-nasir, safar khairiyat se ho meri dua hai
Zaban aur aankhon ka qufl-e-Madina, laga lo tumhara isi mein bhala hai
Tum ehram mein khoob labbaik parhna, sawab is mein la-raib had se siwa hai
Hijaz-e-Muqaddas ki galiyon mein hargiz, na tum thukna ye meri iltija hai
Adab khoob Makke Madine ka karna, yehi Auliya ka tariqa raha hai
Jo hai ba-adab wo bada ba-naseeb aur, jo hai be-adab wo nihayat bura hai
Nazar pyare Kaabe pe pehli pare jab, to ro ro ke karna dua mashwara hai
Wahan khoob ro ro ke karna duayein, ki dar har ghari rehmaton ka khula hai
Nazar sabz gumbad ko jis waqt choome, adab se jhuka lena sar iltija hai
Durud-o-salam aur na'aton ki dhoomein, machana ki ye ruh-o-dil ki ghiza hai
Ibadat riyazat tilawat se ghaflat, na karna ki mauqa sunheri mila hai
Madine mein Makke mein ek ek Quraan, jo karta hai khatam us ki to baat kya hai!
Kharidariyon mein tum anmol auqaat, na hargiz ganwana mera mashwara hai
Bohat khane peene se parhez karna, ki basyar khori mein nuqsan bada hai
Preshaniyon mein zaban band rakhna, kaye jana sabr ajr is mein bada hai
Koi jhaar de tab bhi narmi baratna, kaye jana sabr ajr is mein bada hai
Go aafaat-o-amraz dera jamayein, kaye jana sabr ajr is mein bada hai
Tawaf-o-sa'i garcha tum ko thaka dein, kaye jana sabr ajr is mein bada hai
Mina aur Arafat mein bheer hogi, kaye jana sabr ajr is mein bada hai
Duaon mein Attar ko yaad rakhna
Salam un se kehna yehi iltija hai