Home/Maulana Muhammad Jamil-ur-Rehman Razvi/Tumhein ne to kiya hum ko Musalman Ya Rasool Allah

Tumhein ne to kiya hum ko Musalman Ya Rasool Allah

Written by Maulana Muhammad Jamil-ur-Rehman Razvi

100%
Tumhein ne to kiya hum ko Musalman Ya Rasool Allah Tumhein to ho hamara deen-o-imaan Ya Rasool Allah Na bhoole aur na bhoolo ge qayamat tak ghulamon ko Na kyon hon Ahle-sunnat tum pe qurbaan Ya Rasool Allah Faqat ye aarzoo hai naz' mein marqad mein mehshar mein Kahin hum se na chhute tera daaman Ya Rasool Allah Liwa-ul-hamd ke neeche bane Maula qayamat mein Mera har rongta tera sana khwan Ya Rasool Allah Tere husn-o-malahat par do alam kyon na hon qurbaan Khudaye pak hai tera sana khwan Ya Rasool Allah Makan-o-lamakan hoor-o-malak arsh-o-falak kursi Tumhare hi liye ye sab hai saaman Ya Rasool Allah