Umangein josh par aaein iraday gudgudatay hain
Jameel Qadri shayad Habib-e-Haq bulatay hain
Jagatay hain qismat chahtay hain jis ki dam bhar mein
Woh jis ko chahtay hain apnay rozay par bulatay hain
Unhay mil jata hai goya woh saya-e-Arsh-e-Aazam ka
Teri deewar kay saya mein jo bistar jamatay hain
Muqaddar us ko kehtay hain farishtay Arsh say aakar
Ghubaar-e-farsh-e-Taiba apni aankhon mein lagatay hain
Khuda janay keh Taiba ko hamara kab safar hoga
Madinay ko hazaron qafalay har saal jatay hain