Home/Imam Ahmad Raza Khan Qadri/Wasl-e-Chaharam dar Manaqibat-e-A'da wa Isti'anat az Aqa Radi Allahu Ta'ala Anhu

Wasl-e-Chaharam dar Manaqibat-e-A'da wa Isti'anat az Aqa Radi Allahu Ta'ala Anhu

Written by Imam Ahmad Raza Khan Qadri

100%
Al-aman qahar hai ay Ghaus woh teekha tera Mar ke bhi chain se sota nahin mara tera Badalon se kahin rukti hai kadakti bijli Dhalain chhat jaati hain uthta hai jo tegha tera Aks ka dekh ke munh aur phir jaata hai Char aaina ke bal ka nahin neza tera Koh sar mukh ho to ek waar mein do par kaale Haath padta hi nahin bhool ke ocha tera Is pe yeh qahar ke ab chand mukhalif tere Chahte hain ke ghata dain paya tera Aql hoti to Khuda se na ladayi lete Yeh ghatayain usay manzoor badhana tera Wa rafa'na laka zikrak ka hai saya tujh par Bol bala hai tera zikr hai ooncha tera Mit gaye mit jayenge mit jayenge a'da tere Na mita hai na mite ga kabhi charcha tera Tu ghataye se kisi ke na ghata hai na ghate Jab badhaye tujhay Allah Ta'ala tera Sam-e-qatil hai Khuda ki qasam un ka inkar Munkir-e-fazl-e-Huzoor aah yeh likha tera Mere sayyaf ke khanjar se tujhay baak nahin Cheer kar dekhay koi aah kaleja tera Ibn-e-Zahra tere dil mein hain yeh zehar bhare Bal be ao munkir-e-bebaak yeh Zahra tera Baaz-e-ashab ki ghulami se yeh aankhein phirni Dekh ud jaye ga imaan ka tota tera Shaakh par baith ke jad kaatne ki fikr mein hai Kahin neecha na dikhaye tujhay shajar tera Haq se bad ho ke zamana ka bhala banta hai Arre main khoob samajhta hoon muamma tera Sag-e-dar-e-qahar se dekhay to bikhar ta hai abhi Band band badan ay roo ba dunya tera Gharz Aqa se karoon arz ke teri hai panah Banda majboor hai khatir pe hai qabza tera Hukm naafiz hai tera khama tera saif teri Dam mein jo chahe kare door hai Shaha tera Jis ko lalkar de aata ho to ulta phir jaye Jis ko chamkar le har phir ke woh tera tera Kunhiyan dil ki Khuda ne tujhe deen aisi kar Ke yeh seena ho mohabbat ka khazeena tera Dil pe kunda ho tera naam ke woh duzd-e-rajeem Ultay hi paon phiray dekh ke tughra tera Naz'a mein, gor mein, meezan pe, sar-e-pul pe kahin Na chhootay haath se daaman-e-mu'alla tera Dhoop mehshar ki woh jaan soz-e-qayamat hai magar Mutma'in hoon ke mere sar pe hai palla tera Bahjat us sar ki hai jo 'Bahjat-ul-Asrar' mein hai Ke falak war mureedon pe hai saaya tera Ae Raza cheest gham ar jumla jahan dushman tust Karda-am mamin-e-khud qibla-e-hajat-e-ra