Wah kya martaba ae Ghaus hai bala tera
Oonche oonchon ke saron se qadam aala tera
Sar bhala kya koi jaane ke hai kaisa tera
Awliya milte hain aankhein woh hai talwa tera
Kya dabe jis pe himayat ka ho panja tera
Sher ko khatre mein lata nahi gutta tera
Tu Husaini Hasani kyun na Mohi-ud-Din ho
Ae Khizr majma-e-bahrain hai chashma tera
Qasmein de de ke khilata hai pilata hai tujhe
Pyara Allah tera chahne wala tera
Mustafa ke tan-e-be-saya ka saya dekha
Jis ne dekha meri jaan jalwa-e-zaiba tera
Sayyiduna Razi Allahu Ta'ala Anhu farmuda ke marami farmaind: Ya 'Abdal Qadri bihaqqi 'alaika kul wa bihaqqi 'alaika ishrab.. Al-kh 12 minh
Ibn-e-Zahra ko mubarak ho urs-o-qudrat
Qadiri payein tasadduq mere dulha tera
Kyun na Qasim ho ke tu Ibn-e-Abi-ul-Qasim hai
Kyun na Qadir ho ke mukhtar hai baba tera
Nabwi meenh Alwi fasl Batooli gulshan
Hasani phool Husaini hai mehkna tera
Nabwi zill Alwi burj Batooli manzil
Hasani chand Husaini hai ujala tera
Nabwi hoor Alwi koh Batooli ma'dan
Hasani la'al Husaini hai tajalla tera
Bahr-o-bar shehr-o-qura sahl-o-huzoon dasht-o-chaman
Kaun se chak pe pahunchta nahi dawa tera
Husn-e-niyat ho khata phir kabhi karta hi nahi
Aazmaya hai yagana hai dogana tera
Hazrat Sheikh Mohi-ud-Din Abdul Qadir Razi Allahu Ta'ala Anhu zara awail-e-umar as'hab ra mi farmud ke awliya-e-Iraq mara tasleem karda and, ba'd az muddat-e-farmud ke ein zaman jamee zameen-e-sharq-o-gharb-o-bar-o-bahr-o-sahl-o-huzoon mara tasleem karda and, wa peech wali az awliya na mand dar aan waqt magar aan ke bar Sheikh amad wa tasleem kard wa rah-e-qutbiyat 12 tuhfa qadriya
Arz-e-ahwal ki pyason mein kahan tab magar
Aankhein ae abr-e-karam takti hain rasta tera
Maut nazdeek gunahon ki kahein mail ke khol
Abar ja ke naha dhole ye pyasa tera
Aab-e-aamad woh kahe aur main tayammum barkhast
Musht-e-khaak apni ho aur noor ka aala tera
Jaan to jaate hi jaye gi qayamat ye hai
Ke yahan marne pe thehra hai nazara tera
Tujh se dar se sag aur sag se hai mujh ko nisbat
Meri gardan mein bhi hai dor ka dora tera
Is nishani ke jo sag hain nahi mare jate
Hashr tak mere gale mein rahe patta tera
Meri qismat ki qasam khayein sagan-e-Baghdad
Hind mein bhi hoon to deta rahoon pehra tera
Teri izzat ke nisar ae mere ghairat wale
Aah sad aah ke yun khwar ho parwa tera
Bad sahi, chor sahi, mujrim o nakara sahi
Ae woh kaisa hi sahi hai tu Kareema tera
Mujh ko ruswa bhi agar koi kahe ga to yun hi
Ke wahi na, woh Raza banda-e-ruswa tera
Hain Rizaiyon na balk tu nahin Jayyad to na ho
Sayyad-e-Jayyad har dahr hai Maula tera
Fakhr-e-Aqa mein Raza aur bhi ek nazm-e-rafi
Chal likha layein sana khwanon mein chehra tera