Ya Khuda har dam nigah mein un ka kashana rahe
Donon aalam mein khayal-e-ruye janana rahe
Ae Arab ke chand tere zarre ka zarra hoon main
Ta abad pur-noor mere dil ka kashana rahe
Kyun mu'attar ho na khushbu se do aalam ka dimagh
Panja-e-qudrat tere gesu ka jab shana rahe
Jis makan ki apne paye paak se izzat barhayen
Kyun na sab amraz ka woh ghar shafakhana rahe
Zindagi mein ba'd-e-murdan un ke naam-e-paak se
Ya Khuda abad mere dil ka virana rahe
Ain-e-iman hai yehi awr hai har ik momin pe farz
Un ke naam-e-paak ka dunya mein mastana rahe