Ya Khuda meri maghfirat farma
Bagh-e-firdous marhamat farma
Deen-e-Islam par mujhe Ya Rab
Istaqamat tu marhamat farma
Tu gunahon ko kar mu'aaf Allah!
Meri maqbool ma'zirat farma
Mustafa (SAW) ka wasila-e-tauba par
tu inayat mudawamat farma
Maut imaan pe de Madine mein
aur Mahmood aaqibat farma
Tu sharaf-e-zeer-e-Gumbad-e-Khazra
mujh ko marne ka marhamat farma
Sarfaraz aur surkhru Maula
mujh ko tu roz-e-akhirat farma
Mushkilon mein mere Khuda meri
har qadam par muawanat farma
Mujh ko qufl-e-Madina (SAW) par Ya Rab
tu inayat mudawamat farma
Ya Khuda Madani qafilon par bhi
tu inayat mudawamat farma
Kaash! chhodun na Madani inamaat
tu inayat mudawamat farma
Ho na Attar hashr mein ruswa
be-hisab is ki maghfirat farma