Ziyarat mein karoon aur woh shafa'at meri farmayen
Mujhe hangama-e-eideen ya rab din ho mahshar ka
Naseeb-e-dostaan un ki gali mein gar sukoonat ho
Mujhe ho maghfirat ka silsila har taar bistar ka
Woh girya astan-e-hanana ka aankhon mein phirta hai
Huzoori ne barhaya tha jo paya auj-e-minbar ka
Hamesha rehrawan-e-Taiba ke zer-e-qadam aaye
Ilahi kuch to ho a'azaz mere kasa-e-sar ka
Sahara kuch na kuch rakhta hai har fard-e-bashar apna
Kisi ko nek kaamon ka Hasan ko apne yawwar ka
Mahshar mein gunahgar ka palla hua bhari
Palla pe jo woh qurb-e-tarazu nazar aaya
Ya dekhne wala tha tera ya tera najwa
Jo hum ko khuda been o khuda jo nazar aaya
Shal haath salateen ke uthay bahar-e-gadai
Darwaza tera quwwat-e-bazu nazar aaya
Yusuf se haseen aur tamannaye nazara
Aalam mein na tum sa koi khush-ru nazar aaya
Faryad-e-ghareeban se hai mahshar mein woh be-chain
Kausar pe tha ya qurb-e-tarazu nazar aaya
Takleef utha kar bhi dua mangi adu ki
Khush-khulq na aisa koi khush-kho nazar aaya
Zahir hain Hasan Ahmad-e-Mukhtar ke ma'ne
Kaunain pe sarkar ka qabu nazar aaya
Har baat bad-aamaliyon se main ne bigaadi
Aur tum ne meri bigdi ko har baar banaya
Us jalwa-e-rangeen ka tasadduq tha ke jis ne
Firdous ke har takhta ko gulzar banaya
Un ke dur-e-dandan ka woh sadqa tha ke jis ne
Har qatra-e-naisan dur-e-shahwar banaya
Us rooh-e-mujassam ke tabarruk ne masiha
Jaan bakhsh tumhein yun dam-e-guftar banaya
Us chehra-e-pur-noor ki woh bheek thi jis ne
Mehar-o-mah-o-anjum ko pur-anwar banaya
Un hathon ka jalwa tha yeh ae Hazrat-e-Musa
Jis ne yad-e-baiza ko ziya-bar banaya
Un ke lab-e-rangeen ki nichawar thi woh jis ne
Pathar mein husn-e-la'l pur-anwar banaya