Zulmat-e-dunya mujhe tanha samajh kar na gheir
Mah-e-Taiba ki tajalli mein nahin kuch bhi dair
Ya Nabi teri duhai aafton mein ghar gaya
Rukh badal de mushkilon ka aur balayein mujh se pheir
Gunbad-e-Khazra ko dekhe ek arsa ho gaya
Kab khule gi meri qismat ab lage gi kitni dair!
Nafs-o-shaitan par mujhe ghalba ata kar ya Khuda
Us Ali ka wasta hoon jo hai tera sher
Aah! Mizan par khara hoon Shafe-e-Mahshar karam!
Nekiyan palle nahin bas gunahon ka hai dher
Naar-e-dozakh mein na le jaye kahin maal-e-haram
Kar lo tauba chhor do ae bhaiyo! sab heer-pheir
Sab ko marna hi pare ga yaad rakho bhaiyo!
Der mein jaye ga koi, koi chale ga sawer
Ya Khuda aalam mein uncha parcham-e-Islam ho
Dushmanan-e-deen musalmanon se hon maghloob-o-zer
Ishq-e-Ahmad hi se Attar aadmi hai aadmi
Warna ye mitti ka putla hai faqat mitti ka dher