Aah! Shah-e-Bahr-o-Bar! Main Madina Chhor Aaya
Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri
(Kaash! mere bhi yeh jazbaat hotay, yeh sirf Aashiq-e-Rasool ki Madine se judai ke jazbaat ki tarjumani hai)
Aah! Shah-e-Bahr o Bar! main Madina chhor aaya
Koh-e-gham para sar par, main Madina chhor aaya
Aah! Masjid-e-Nabwi, haye Gumbad-e-Khazra
Aah! Rauza-e-Anwar, main Madina chhor aaya
Gham ke chhaye badal, dil mein mach gayi hal chal
Aah! ae mere yaawar! main Madina chhor aaya
Jab chala tha Taiba ko, thi khushi mere dil ko
Aah! ab hai dil-e-muztar, main Madina chhor aaya
Dil mein be-qarari hai aur girya taari hai
Beh rahi hai chashm-e-tar, main Madina chhor aaya
Chhup gaya nigahon se, aah! sab Madeenay ka
Dilkash-o-haseen manzar, main Madeena chhod aaya
Qalb para para hai, hijr-e-Shah ne maara hai
Aah! mere chaar-e-gar! main Madeena chhod aaya
Ab gham-e-Madeena se, chaak chaak seena hai
Kyun kahoon na ro ro kar, main Madeena chhod aaya
Lutf jo hai Taiba mein woh kahan watan mein hai
Kya karoon ga ja kar ghar, main Madeena chhod aaya
Laut kar na main aata, kaash! jaan de deta
Gir ke khaak-e-Taiba par, main Madeena chhod aaya
Aah! din Madeenay ke, jald jald guzray thay
Haye jald chhoota dar, main Madeena chhod aaya
Din ko bhi suroor aata, shab ko bhi zaroor aata
Kya fiza thi kaif aawar, main Madeena chhod aaya
Tha wahan samaan noori, ranj-o-gham se thi doori
Aah! noor ke paikar! main Madeena chhod aaya
Waqt-e-hijr jab aaya, phoot phoot kar roya
Dard naak tha manzar, main Madeena chhod aaya
Hijr ka hai sadma aur seena-o-jigar mere
Rakh ke qalb par patthar, main Madeena chhod aaya
Hijr ke main sadmon se, choor choor zakhmon se
Chal raha tha ro ro kar, main Madeena chhod aaya
Jab Madeena chhoota tha koh-e-gham ka toota tha
Jaan-o-dil liye muztar, main Madeena chhod aaya
Sabz gumbad aur minar, aah! chhoot gaye sarkar
Phir bulaiye sarwar, main Madeena chhod aaya
Tha gham-e-Madeena mein, furqat-e-Madeena mein
Dil mera bohat muztar, main Madeena chhod aaya
Mere haami-o-humdam! door hoon jahan ke gham
De do apna gham sarwar! main Madeena chhod aaya
Dil mein hai pareshani, ho karam aye sultani
Aao khwab mein sarwar! main Madeena chhod aaya
Dil ki hai ajab halat, sadma-o-gham-e-furqat
Al-firaq aye sarwar! main Madeena chhod aaya
Chal diya safeena hai chhoot gaya Madeena hai
Haye! kya karoon sarwar main Madeena chhod aaya
Gham ki ho gaya tasweer, aah! hijr hai taqdeer
Chup hua hoon ro ro kar! main Madeena chhod aaya
Door ho gaya sarkar! aah! ghamzada Attar
Jald aaoon phir dar par, main Madeena chhod aaya