Aaj hain har jagah Aashiqan-e-Rasool, mahv-e-naat-o-sana Aashiqan-e-Rasool
Jashn-e-milad ka sab rahe hain mana, bandagan-e-Khuda Aashiqan-e-Rasool
Jashn-e-milad se ishq hai pyaar hai, hain manate sada Aashiqan-e-Rasool
Mah-e-milad mein khoob lahraiye, ghar pe jhanda hara Aashiqan-e-Rasool
Aamad-e-Mustafa marhaba marhaba, sab lagao sada Aashiqan-e-Rasool
Seekhne sunnatain, masjid ao chalein, laye hain qafila Aashiqan-e-Rasool
Yad rakhna kabhi chhorna mat kabhi, daman-e-Mustafa Aashiqan-e-Rasool
Rahmat-e-Kibriya tum pe ho da'iman, hai hamari dua Aashiqan-e-Rasool
Tum pe fazl-e-Khuda, rahmat-e-Mustafa, ho baroz-e-jaza Aashiqan-e-Rasool
Kash! dunya mein tum do ba-fazl-e-Khuda, deen ka danka baja Aashiqan-e-Rasool
Tum pe ho qabr mein har jagah hashr mein, saya-e-Mustafa Aashiqan-e-Rasool
Be-namazi rahein kuch na rozay rakhein, un ko kis ne kaha? Aashiqan-e-Rasool
Aalimon par hasein, phubtiyan bhi kasain, un ko kis ne kaha? Aashiqan-e-Rasool
Jo ke gaane sunen, film beeni karen un ko kis ne kaha? Ashiqan-e-Rasool
Bad nigahi karen, bad kalaami karen un ko kis ne kaha? Ashiqan-e-Rasool
Khayen rizq-e-haram, aise hain bad lagaam un ko kis ne kaha? Ashiqan-e-Rasool
Ehad toda karen, jhoot bola karen un ko kis ne kaha? Ashiqan-e-Rasool
Jo sataate rahen dil dukhate rahen un ko kis ne kaha? Ashiqan-e-Rasool
Chughliyon tohmaton, mein jo mashghool hon un ko kis ne kaha? Ashiqan-e-Rasool
Gaaliyan jo baken aib daryaan karen un ko kis ne kaha? Ashiqan-e-Rasool
Daadhiyan jo mundaayen karen ghibaten un ko kis ne kaha? Ashiqan-e-Rasool
Kaash! Attar ka Taiba mein khatma ho karo ye dua Ashiqan-e-Rasool
Bukhl ki Tareef
Huwa malakatu imsakil maali haithu yajibu badhlu-hu bi hukmish shar'i awil muru'ati ya'ni jis cheez ka kharch karna shar'an ya muruwatan zaroori ho wahan kharch na karna. (Hadeeqa Nadiya sharh Tareeqa Muhammadiya j 2 s 27)
Ghibat ki Tareef
Kisi (zinda ya murda) shakhs ke posheeda aib ko (jis ka woh dusron ke samne zahir hona pasand na karta ho) us ki burai karne ke tor par zikr karna. (Bahar-e-Shariat hissa 9 s 17 Maktabatul Madina Karachi)
Nauha ki Tareef
Maiyat ke ausaf mubaligha ke sath (ya'ni maiyat ki badha chadha kar tareef) bayan kar ke awaz ke sath rona. (Bahar-e-Shariat j awal s 857 Maktabatul Madina Karachi)