Ab bula lijiye na Madina, aa raha hai yeh Hajj ka mahina
Toot jaaye na dil ka nagina, al-madad tajdar-e-Madina
Aansuo'n ki lari ban rahi ho, aur aa'hon se phat-ta ho seena
Virde-lab ho "Madina Madina" jab chalein su-e-Taiba safina
Mujh ko Aaqa! Madine bula lo! Hasratein mere dil ki nikalo
Ghaus-e-Azam ka sadqa nibha lo, ab to keh do "chal Madina"
Jab Madine mein ho apni aamad, jab main dekhun tera sabz gumbad
Hichkiya'n bandh kar ro'un be-had, kaash! aa jaaye aisa qarina
Kaash! is shaan se haazri ho, mujh pe deewangi chha gayi ho
Har rukawat wahan hat gayi ho, bas nazar mein ho Shah-e-Madina
Mushkilein, aafatein door hon gi, zulmatein gham ki kafoor hon gi
Meri aankhein bhi pur-noor hon gi, ik jhalak! mere Mah-e-Madina
Dil se ulfat jahan ki nikalo, is tabahi se Maula bachalo
Mujh ko deewana apna banalo, mera seena bana do Madina
Mujh pe Aaqa! nigah-e-karam ho, door dunya ka ranj o alam ho
Bas ata apna gham chashm-e-nam ho, dijiye mujh ko pur-soz seena
Main muballigh banun sunnaton ka, khoob charcha karun sunnaton ka
Ya Khuda! dars dun sunnaton ka, bahr-e-khak-e-Madina
Aansuo'n ki jhari lag gayi hai, yaad-e-Aaqa ki tarpa rahi hai
Is pe deewangi chha gayi hai, yaad aaya hai us ko Madina
Baad-e-murdan yeh ehsan karna, munh pe khak-e-Madina chirakna
Aur mere kafan par lagana, gar mayassar ho un ka paseena
Hai tamanna-e-Attar ya Rabb! un ke jalwon mein yun maut aaye
Jhoom kar jab gire mera lasha, tham lein barh ke Shah-e-Madina