Allah! Mujhe Hafiz-e-Quran bana de
(Hifz-o-Nazrah ke talaba ki munajat)
Allah! Mujhe Hafiz-e-Quran bana de
Quran ke ahkaam pe bhi mujhko chala de
Ho jaya kare yaad sabaq jald Ilahi!
Maula tu mera hafiz-e-mazboot bana de
Susti ho meri door uthoon jald sawere
Tu madrasay mein dil mera Allah! laga de
Ho madrasay ka mujh se na nuqsaan kabhi bhi
Allah! yahan ke mujhe aadaab sikha de
Chutti na karoon bhool ke bhi madrasay ki mein
auqaat ka bhi mujhko paband bana de
Ustaad hoon maujood ya bahar kahin masroof
aadat tu meri shor machanay ki mita de
Khaslat ho meri door shararat ki Ilahi!
Sanjeeda bana de mujhe sanjeeda bana de
Ustaad ki karta rahoon har dam mein ita'at
Ma baap ki izzat ki bhi taufeeq Khuda de
Kapray mein rakhun saaf tu dil ko meray kar saaf
Maula tu Madina meray seenay ko bana de
Filmon se dramon se de nafrat tu Ilahi
Bas shauq mujhe naat-o-tilawat ka Khuda de
Main saath jamaat ke parhoon saari namazein
Allah! ibadat mein meray dil ko laga de
Parhta rahoon kasrat se durood un pe sada mein
Aur zikr ka bhi shauq paye Ghous Raza de
Har kaam shariyat ke mutabiq karoon kaash!
Ya Rab tu muballigh mujhe sunnat ka bana de
Main jhoot na boloon kabhi gaali na nikaloon
Allah! marz se tu gunahon ke shifa de
Main faltu baton se rahoon door hamesha
Chup rehnay ka Allah! saleeqa tu sikha de
Akhlaq hoon achay mera kirdar ho suthra
Mehboob ka sadqa tu mujhe nek bana de
Ustaad hoon, maan baap hoon, Attar bhi ho saath
Yun hajj ko chalein aur Madina bhi dikha de
Farman-e-Mustafa SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WASALLAM hai: Jisne
Mujh par roz-e-Jumah doso baar Durood-e-Paak parha us ke doso saal
ke gunah maaf honge. (Kanz-ul-Ummal J1 S256 Hadith 2238)