Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Fajr Ka Waqt Ho Gaya

Fajr Ka Waqt Ho Gaya

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Fajr ka waqt ho gaya utho! Ae ghulaman-e-Mustafa utho! Jago jago ae bhaiyo, behno! Chhor do ab to bistar utho! Tum ko hajj ki Khuda sa'adat de, jalwa dekho Madinay ka utho! Utho zikr-e-Khuda karo uth kar! Dil se lo naam-e-Mustafa utho! Fajr ki ho chukin azanein waqt ho gaya hai namaz ka utho! Bhaiyo! Uth kar ab wuzu kar lo! Aur chalo khana-e-Khuda utho! Neend se to namaz behtar hai ab na mutlaq bhi laitna utho! Uth chukay ab kharay bhi ho jao! Aankh shaitan na de laga utho! Jago jago namaz-e-ghafalat se kar na baitho kahein qaza utho! Ab 'jo soye namaz khoye' waqt sonay ka ab nahi utho! Yad rakho! Namaz gar chhori qabr mein pao gay saza utho! Be-namazi phansay ga mahshar mein ho ga naraz Kibriya utho! Main 'Sadaye Madina' deta hoon tum ko Taiba ka wasta utho! Main bhikari nahi hoon dar-e-dar ka main hoon sarkar ka gada utho! Mujh ko dena na payi paisa tum! Main hoon talib-e-sawab utho! Tum ko deta hai ye dua Attar fazl tum par kare Khuda utho!