Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Gham-e-furqat dil-e-ushaq ko be-had rulata hai

Gham-e-furqat dil-e-ushaq ko be-had rulata hai

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Gham-e-furqat dil-e-ushaq ko be-had rulata hai Tarap uthte hain jab un ko Madeena yaad aata hai Mujhe us ke muqaddar pe bara hi rashk aata hai Madeene ki taraf koi musafir jab bhi jaata hai Mujhe us waqt deewane pe be-had pyar aata hai Gham-e-hijr-e-Madeena mein woh aansoo bahata hai Yeh beemar-e-Madeena hai tabeebo! Tum na samjho ge Tarafta hai use jis dam Madeena yaad aata hai Dikha do sabz gumbad ki baharein Ya Rasool Allah Na jaane kab Madeene ka bulawa mujh ko aata hai Madad Sarkar farmate hain deewana agar koi Tarap kar Ya Rasool Allah ka nara lagata hai Ata kar do, ata kar do baqi-e-paak mein madfan Mujhe gor-e-ghareeban watan se khauf aata hai Nahi hai chand sooraj ki Madeene ko koi haajat Wahan din raat un ka sabz gumbad jagmagata hai Hukumat ki talab dil mein, na khwahish taaj-e-shahi ki Nazar mein ashiqon ke bas Madeena hi samata hai Sakhawat bhi tere ghar ki, inayat bhi tere ghar ki Tere dar ka sawali jholiyan bhar bhar ke lata hai Ibadat ho to aisi ho, tilawat ho to aisi ho Sar-e-Shabir neze pe bhi Quraan sunata hai Barasti hai Khuda ki us pe rehmat jhoom kar Attar Gham-e-Mehboob mein jo koi do aansoo bahata hai Mustafa ka karam ho gaya hai, dil khushi se mera jhoomta hai Izn-e-phir haziri ka mila hai, qafila su-e-taiba chala hai Kooch ka waqt ab aa chuka hai, qafila phir madine chala hai Munh dikhaoon ga kis tarah un ko, paas husn-e-amal mere kya hai Main madine ke qabil nahi hoon, bas nabi ne karam kar diya hai Bojh-e-isyan ka sar par dhara hai, bas gunahon ka hi silsila hai Lootne ko bahar-e-madina, choomne ko ghubar-e-madina Izn se tajdar-e-madina, tere tera gada chal para hai Multaji tujh se hai ik kamina, mangta hai ye qufl-e-madina De ke deed usay istiqamat, past himmat ye kam hosla hai Su-e-taiba safar karne walo, lab pe qufl-e-madina lagalo Ankh sharm-o-haya se jhakalo, bas isi mein tumhara bhala hai Haziri ko mile chand lamhay, bach gaye kooch ke ah! dankay Hai ajab wasl-o-furqat ka sangam, hijr ke gham mein dil ro raha hai Sayyidi Mustafa Jaan-e-Rahmat! Kijiye mujh pe chashm-e-inayat Door ho jaye dil ki qasawat, tujh ko Siddiq ka wasta hai Ya Nabi! Mujrim aaye hue hain, bar-e-isyan uthaye hue hain Aas tujh pe lagaye hue hain, teri rahmat hi ka aasra hai Main ne jab bhi ibadat ka socha, nafs ne foran us dam dabocha Nekiyon ka nahi silsila kuch, bas gunahon mein hi dil phansa hai Hai hawas maal ki, qalb bhatka, har nafs hai hi bas hub-e-dunya Apni ulfat ka saghar pila do, Ya Habib-e-Khuda iltija hai Hub-e-dunya-e-murdar dil mein, kar chuki ghar hai sarkar dil mein Tum jo aajao dildar dil mein, bas tali dil se phir ye bala hai Ya Nabi! Aap ke ashiqon ko, aap ki deed ke talibon ko Apna jalwa dikha dijiye na, in becharon ko armaan bara hai Umr Attar bawan baras ki, hai hawas tujh ko dunya ki phir bhi Ab to jee jee ke kitna jiyega, waqt-e-rehlat qareeb achuka hai Qafila "Chal Madina" ka Aaqa, chal para janib-e-taiba Maula Tere ushaq ke peechay peechay, tera Attar bhi araha hai Madina