Hazrat Syedna Abu Qatada Radi Allahu Ta'ala Anhu ke haq mein Huzoor Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam ne ye dua farmayi: Aflaha wajhuka Allahumma barik lahu fi sha'rihi wa basharihi, ya'ni falah wala ho jaye tera chehra, ya Allah! Iske baal aur iski khaal mein barkat de. Syedna Abu Qatada Radi Allahu Ta'ala Anhu ne sattar baras ki umar pa kar wafat payi magar unka ek baal bhi safed nahi hua tha na badan mein jhuriyan padi thin, chehre par jawani aisi ronaq thi ke goya abhi pandrah baras ke jawan hain. (Ash-Shifa, Jild 1, Safha 327)